HAZRAT IMAM ZAIN AL ABEDEEN (a.s)



Name                    ZAIN AL ABEDEEN (a.s)
Father Name         IMAM HUSAIN (a.s)
Mother Name       SHAHER BANO (S.A)
D.O.B.                 15 JAMADI US SANI38 H.
P.O.B.                  MADEENA
D.O.M.                25 MOHARRAM 95 H.
P.O.B.                  JANNAT UL BAQI

HAZRAT IMAM ZAIN AL ABEDEEN (a.s) :-

HAZRAT IMAM ZAIN AL ABEDEEN (a.s) silsilae asmate Mohammadiya ki 6th kadi hain aur silke Imamate Alviya ki 4th kadi hain. Apke walide majid HAZRAT IMAM HUSAIN (a.s) aur waleda majeda JANABE SHAHER BANO (s.a) thin.

APKI WILADAT BA SA'ADAT :-

Aap ba'tareekh 5 Jamadi us Sani Ya Jamadi ul Awwal 38 Hijri ko Madina e Munawwara me Paida hue.

APKI QUNIYAT WA ALQAB :-

Apka Isme Girami "ALI" Quniyat "ABU MOHAMMAD, ABUL HASAN aur ABUL QASIM" thi. Apke Alqab beshumar the, Jinme Zain Al Abedeen, Sayyed Us Sajedeen, Zul Shafnat, Sajjad wa Abid zyada Mash'hoor hain.

IMAM ZAIN AL ABEDEEN KI NASABI BALANDI :-

Nasab aur Nasl Baap aur Maa ki taraf se Dekhe jate hain. Imam Sajjad (a.s) ke Walid e Majid Hazrat Imam Husain (a.s) aur Dada Hazrat Ali (a.s) aur Dadi Hazrat Fatemat uz Zehra (s.a) binte Rasool e Khuda (a.s) hain. Apki Waleda Hazrat Shaher Bano binte Yazaz Zerd Ibn Shaharyar ibn kisra hain.

IMAM ZAIN AL ABEDEEN KE BACHPAN KA EK WAQYA :-

Allama Majlisi farmate hain ki ek din Imam Zain Al Abedeen (a.s) jab ki apka Bachpan tha, bimar hue. Hazrat Imam Husain (a.s) ne Farmaya "Beta" ab tumhari Tabiyat kaisi hai aur tum koi chiz chahte ho to bayan karo taaki mai tumhari khwish ke mutabik use faraham karne ki koshish karu. Apne Arz kiya baba Jan khuda ke fazl se ab Achcha hu. Meri khwaish sirf ye hai ki khuda wande Alam mera shumar un logo me kare jo Parwardigar e Alam ke Qaza wa Qadar ke khilaf koi khwaish nahi rakhte. Yeh sun kar Imam Husain (a.s) khush wa Masroor ho gain aur farmane lage beta tumne bada Masarrat Afza aur Marefat Khez jawab diya hai. Tumhara jawab bilkul Hazrat Ibrahim (a.s) ke jawab se milta julta hai. Hazrat Ibrahim (a.s) ko jab Mijaneeq me rakh kar Aag ki taraf feka gaya tha aur aap feza me hote hue Aag ki taraf ja rahe the to Hazrat Jibrail (a.s) ne apse puchha tha "Hallaq Hajat" apki koi Hajat hai. Us waqt unhone jawab diya, "Na'am Ima Ilaika Falaa" Beshak mujhe hajat hai lekin tumse nahi, Apne palne wale se.


APKE AHDE HAYAT KE BADSHAHANE WAQT :-

Apki Wiladat Badshahe Deen o Iman Hazrat Ali (a.s) ke Ahde Asmat me hui. Fir Imam Hasan (a.s) ka zamana raha, fir Bani Umaiyya ki khalis wa Duniyavi hukumat ho gai. Sulhe Imam Hasan (a.s) ke bad fir 60 Hijri tak Maviya bin Abu Sufiyan badshah raha. Uske bad uska Fasiq wa Fajir beta Yazeed 64 Hijri tak Hukmran raha. 64 Hijri me Maviya bin Yazeed ibn Maviya aur Marwan bin Hakam Hakim rahe. 65 Hijri se 86 Hijri tak Abdul Malik bin Marwan Hakim wa Badshahe Waqt raha. Fir 86 se 96 Hijri tak Walid bin Abdul Malik ne Hukmarani ki aur usi ne 95 me Imam Zain Al Abedeen (a.s) ko Zaher e Daga se Shaheed kar diya.


IMAM ZAIN AL ABEDEEN KA BACHPAN ME HAJJ E BAITULLAH :-

Allama Majlisi tehreer farmate hain, ki Ibrahim bin Adham ka bayan hai ki min ek Martaba Hajj ke liye jata hua Kazaej Hajat ki wajah ki khatir Qafile se pichhe reh gaya. Abhi thodi hi Der guzri thi ki main ek Nau Umr ke ladke ko is jungle me Safare Pyada dekha. Aesi halat me ki wah paidal chal raha tha aur uske sath koi Saman na tha aur na koi sathi tha. Mai hairan ho gaya aur Fauran uski khidmat me Hazir hokar Arz Pardaz hua. "Sahab Zade" is Jungle me tum bilkul tanha, yah mamla kya hai Zara mujhe batao. Tumhara Zade Raah kya hai aur tunhari Sawari kaha hai aur tum kaha ja rahe ho ? Us Nau Khez ne jawab diya.
            "ZAADI TAQWA WA RAAHLATI RAJAALI WA QASDI MAULAYA"
       Mera zaade rah taqwa wah parhezgari...CONT...

Comments