HAZRAT IMAM ALI (a.s) KI SHAHADAT





Paighambar e Islam ne peshingoi farmai thi Ki 'ALI (a.s) ki dadhi sar ke khoon se rangeen hogi'. Ek martaba Hazrat Ali bimar hue unhe dekhne ke liye gai the Halat e Saqeem dekh kar Paighambar se kehne lage ki shayad Ali na bachenge. Aapne farmaya abhi Ali ko maut nahi aegi Ali duniya ke tamam Ranjo gham uthane ke bad talwar se shaheed honge.
           Aburrehman ibn muljim (l.a) ne Kufa pahoch kar 1,000 dirham ki talwar khareedi aur use Zaher me bujha liya, aur mauke ki talash me Kufe ki galiyo ke chakkar katne laga. Isi dauran ek din uski nazar ek haseen aurat par ja padi jiska nam 'Qatama' (l.a) binte najba tha aur wo mawiya ki rishtedar hoti thi. Ibn muljim (l.a) us aurat ka bedam gulam ban gaya, aur usse silsila zubani shuru ki bilakhir bat thehri Aqd ka faisla ho gaya. Jab Maher ki guftagu hui to usne kaha ki 3,000 asharfiya aur Hazrat Ali (a.s) ka  sar lungi. Kyunki unhone Islami jango me mere baap aur bhaiyo qatl kar diya hai. Ibne Muljim (l.a) ne jawab diya ki mujhe manzur hai aur khuda ki kasam tune aesi chiz mangi hai jiske liye mai khud is Shaher me bheja gaya hu.
Albatta tujhe bhi apne waide ka pas wa lihaz rakhna chahiye. Usne kaha aesa hi hoga. Is ahdo paiman aur waida wa waid ke bad, ibn muljim (l.a) tago du wa sai wa koshish aur jaddo jehad me mashgul ho gaya. Qatama (l.a) ne aur kak ashkhas iski madad ke liye moaiyyan wa mohaiyya kar diye mustdark hakim me hai ki qatam (l.a) ne aesa maher manga tha jiski mishal Arab wa Ajam me nahi hai. Hazrat Ali (a.s) ne zamana e Shahadat kareeb hone par kai bar apni Shahadat ka ishara kiya aur kinaai me zikr farmaya tha. Mankul hai ki ek din aap khutba farma rahe the, nagah Imam Hasan (a.s) dauran e khutba aa gai. Hazrat Ali (a.s) ne pucha beta aaj kaun si tareekh hai. Aur is mahine ke kitne din guzar chuke hain, aap ne arz ki baba jaan 13 din guzar chuke hain. Fir aap ne Hazrat Imam Husain (a.s) ki taraf rukh karke pucha beta ab mahine ko khatm hone me kitne din baki reh gai hain. Imam Husain (a.s) ne arz ki baba jaan 17 din reh gai hain. Iske bad aapne apni rishe mubarak par hath fer kar farmaya ki anqareeb kabila e Murad ka ek namurad meri dadhi ko sar ke khoon se rangeen karega. (Akhbar sahiha) me warid hai ki Hazrat Ali (a.s) ka usool yah tha ki aap ek ek din apne beto ke yaha Aftar farmaya karte the aur sirf ek lukma tanawul karte the ek riwayat me hai ki aap ne apni beti Umme Kulsoom (s.a) se farmaya ki anqareeb tum logo se rukhsat ho jaunga. Yah sun kar woh rone lagin. Aap ne farmaya ki maut se kisi ko chhutkara nahi beti mai ne aaj raat ko khwab ne Sarware Alam (a.s) ko dekha hai ki wah mere sar se gubar saf kar rahe hain, aur farmate hain ki tum tamam Faraez ada kar chuke, ab mere pas aa jao. Jamhure mowarrekhin ka ka ittefaq hai ki jis raat ki Subah aap shaheed hue us Raat me aap soi nahi.
         Yah raat apki is tarah guzri ki aap thodi thodi der me Musalle se uth kar Sehne Khana me ate aur Asman ki taraf dekh kar farmate the ki mere Aqa Sarware Kainat (a.s) ne Sach farmaya hai ki mai Shaheed kiya jaunga. Jab aap 19 Ramzan 40 H. Ko Namaz e Subh ke irade se bahar nikle, to Sehne Qaba me Battakho ne daman tham liya aur shor machane lagin, kisi ne roka to aap ne farmaya, mat roko yah mujh par nauha kar rahi hain fir aap daulat sara se baramad hokar dakhil e Masjid e Kufa hue aur Guldasta e Azan kehne lage uske bad Namaz me mashgul ho gai. Jab aap sajda e Awwal me gai, Namurad ibn Muljim (l.a) muradi ne sare Aqdas par talwar laga di. Yah talwar usi jagah lagi jis jagah jange Khandaq me Amr ibn Abdawat (l.a) ki talwar lagi thi. Zarb lagte hi Asman se Awaz aai "Aagah ho jao Ameer al Momineen qatl ho gai". Iske bad aap zameen par lotne lage aur Zakhm par mitti dal kar farmaya "Khuda ki kasam maine hayat e abdi pali aur kamyab ho gaya" Zarb lagane ke bad ibn muljim (l.a) bhaga, logo ne ta'akkub kiya. Ki aap ko khoon me nahaya hua dekh kar Awlad wa Asbab ne girya karna Shuru kar diya aap ne farmaya bas ro chuko aur mujhe ghar le chalo. Yah sunkar Hazrat Imam Hasan (a.s) , Imam Husain (a.s) aur Hazrat Abbas (a.s) ne apko ek galeem ( kambal) me dalkar apko ghar pahuchaya. Ghar pahoch kar apne subah ko mukhatib karke farmaya ''tu gawah rehna ki maine kabhi namaz kaza nahi ki aur khuda wa Rasool ki koi mukhalifat mujhse nahi hui''. Apka koi ilaj kargar na hua aur apki wafat ka waqt aa pahucha. Apko aesi zaher se bujhi talwar se shaheed kiya gaya tha ki sare ahle Misr ke kafi tha. Zakhm ko jis par shahadat hui kaseer bin Amru Sakuni jo Shahane Iran ka tabibe khas reh chuka tha. Is ne bataya ki zakhn umme dimag tak pahoch gaya hai aur ab sehat muhal hai.
          Inteqal ke waqt apne wasiyyate farmai jo taqwa wa parhezgari Ibadat Sil-e-Rahem wagaira se mutallik thi. Fir ek nawishta likh kar diya. Baz kutube tareekh me hai ki apki khidmat me sharbat bheja gaya to apne thoda sa pee kar qatil ko bhijwa di. Hazrat Umme Kulsoom ne (s.a) ne ibn muljim (l.a) se kehlaya ki aye dushmane Khuda tune Ameer-al-Momineen (a.s) ko shaheed kar diya, to usne jawab diya ki maine Ameer-al-Momineen ko nahi tumhare baap ko qatl kiya hai, aur aesi talwar se qatl kiya hai, jise mai lagatar ek maah tak zaher pilata raha hu. Apne akhiri waqt apne sab beto ko bulakar Imam Hasan (a.s) aur Imam Husain (a.s) ki ita'at ki aur imdad ka hukm diya aur farmaya ki yah farzandane Rasool (a.s) hain.
           Apne apni Tamam Aulad wa Azwaj ko Imam Hasan (a.s) ke supurd farmaya, Hazrat (a.s) ko Imam Husain (a.s) ke hawale karke farmaya yah tumhara gulam hai. Karbala me kam aega. Apne amre Khilafat Imam (a.s) ke supurd farmaya. Imam Hasan (a.s) Hazrat Ali (a.s) ki wasiyyat ke mutabik Imame Barhaq aur Khaleefa-e-Waqt karar paai. Apne 21 Ramzan 40 H. Ko inteqal farmaya. Imam Hasan (a.s) Husain (a.s) wa Abdullah Bin Jafar (a.s) ne gusl diya aur Mohammad Hanafiya ne pani dalne me madad ki, Kafan pehnane ke bad Hazrat Imam Hasan (a.s) ne Namaze Janaza padhai. Aoko jis jagah gusl diya gaya usi jagah Hazrat Nooh (a.s) ki beti ka ghar tha. Shahadat ke waqt apki umr 63 Saal thi, baaz tareekh me milta hai ki apko Qabr Hazrat Nooh (a.s) ki banai hui thi aur apka janaza Sirhane ki taraf se farishte uthai hue the. Aap Najafe Asheraf me supurde khak kiye gai. Jo ab bhi Ziyarat Gaahe Aalam hai.

Comments

Post a Comment