HAZRAT IMAM ALI (a.s) KI WILADAT

Aap ki takhleeq Khilqate Sarware kainat s. Ke sath paidaish e Adam wa Aalam se bahot pehle ho chuki thi . Insani Shakl wa surat me aap ka zahoor wa Numood 13 Rajab 30 Amul feel mutabiq 600 E. Yaume juma Ba muqam Khana-e-Qaba hua. Aap ki walida Hazrat Fatema Binte Asad Aur apke walid Hazrat Abutalib hain, aap dono taraf se Hashmi the, Mowarrekheene Aalam ne aap ke Khana-e-Qaba me paida hone ke muta'allik kabhi koi ikhtelaf zahir nahi kiya balki bil ikhtelaf kehte hain ki " Lam yulad Qab-lahu wala Ba-dahu Mauloodun fee Baitil Haram " aap se pehle na koi khana -e-Qaba me paida hua hai na hoga. Iske bare me ulema ne tawatur ka dawa kiya hai ki Hazrat Fatema Binte Asad ko jab Dard-e-Zeh ki taqleef mehsus hui to aap ba Mashwera-e- Rasoole Kareem s. Khana-e-Qaba ke kareeb gain aur uska tawaf karne ke bad deewar se tek laga kar khadi ho gain aur bargahe Khuda ki taraf mutawajjeh hokar arz karne lagi, Khudaya mai Momina hu, Tujhe Ibrahim Bani-e-Khana-e-Qaba aur is Maulood ka wasta jo mete Batn me hai, meri Mushkil dur karde. Abhi dua ke jumle khatm na hone pai the ki Deewar e Qaba Shaq ho gai aur Janabe Fatema Binte Asad dakhile Qaba ho gain. Aur deewar jaisi thi waisi ho gai. Wiladat Qabe ke andar hui Ali (a.s) paida to hue lekin unhone ankh nahi kholi, magar jab tisre roz Sarware Kainat tashreef laai aur apni Agoshe Mubarak me liya to Hazrat Ali ne ankhe khol di aur jamale Risalat par pehli Nazar dali, Salam karke Tilawate Sohfe Aasmani Shuru kar di. Bhai ne gale lagaya aur yah keh kar " Ae Ali jab tum Hamare ho to mai bhi Tumhara hu " fauran me me zaban de di. Allama Arbali likhte hain " Zabane Risalat se dahne Imamat me barah Chashme jari ho gain " aur Ali (a.s) achchi tarah sairab ho gai. Isi liye us din ko " Yaumuttarviyah " kehte hain, kyoki tarviya ke mani Sairabi ke hain.
            Al-Garaz Hazrat Ali (a.s) Khana-e-Qaba se chauthe roz bahar lai gai aur iske dar par Hazrat Ali ke nam ka takhta nasb kar diya. Jo Hashsham ibne Abdul Malik ke zamane tak laga raha. Aap pak wa pakeeza, Tayyab wa Tahir aur Makhtoon paida hue. Aapne kabhi but parasti nahi ki, aur apki peshani kabhi bur ke samne nahi jhuki. Isi liye apke nam ke sath " KaramAllaho wajhulla " kaha jata hai.

Comments

Post a Comment