HAZRAT IMAM ALI (a.s) KI WILAYAT KA AILAN

                              



NABUWWAT WA IMAMAT :-

Yah ek Musallima Haqiqat hai ki Khallaqe Alam ne intekhab e Khilafat ko apne liye Makhsus rakha tha aur isme logo ki Rai ko dakhil nahi hone diya. Farmaya hai "RABBUKA YAKHLUQO MA'YASHAO WA'YAKHTARO MA'KANA LAHUMUL KHIYARA SUBHANALLAHE TA'ALA AMMA YUSHRIKOON' Tumhara Rab hi paida karta hai aur jisko chahta hai (Nabuwwat wa khilafat) ke liye Intekhab (chunta) karta hai". Yad rahe ki Insan ko na Intekhab ka koi haq hai aur na wo isme Khuda ke Shareeq ho sakte hain. Yahi wajah hai ki apne Tamam khulfa Adam se Khatam tak Khud Muqarrar kiye hain, aur uska Ailan apne Nabiyo ke Zariye karaya hai.

HAJJATUL WIDA :-

Hazrat Rasool e Khuda (a.s) 25 Zilqad 10 Hijri ko Hajje Akhir ke Irade se rawana hokar 4 Zihajj ko Makka pahuche. Apke Hamrah apki Biviyan aur Sayyeda Zehra (s.a) thin. Rawangi ke waqt Hazaro sahaba sath rawana hue aur bahot se Makka me hi ja mile. Is tarah apke Ashab ki tadad Ek Lakh Chaubees Hazar (1,24,000) ho gai. Hazrat Ali (a.s) Yeman se Makka pahuche. Huzoor ne Farmaya tum Manasike Hajj me mere shareek ho. Is Hajj ke mauke par logo ne apni ankho se Rasool e Khuda (a.s) ko Manasike (Arkan) Ada karte dekha aur Khutbe Sune.
  1.  Jahiliyat ke Zamane ke dastoor kuchal dalne ke Kabil hai.
  2.  Arbi ko Ajmi aur Ajmi ko Arbi par koi Fazilat Nahi.
  3.  Musalman ek dusre ke Bhai hain.
  4.  Gulamo ka khayal rakhna Zaruri hai.
  5.  Jahiliyat ke Tamam Khoon maf kar diye gai.
  6.  Jahiliyat ke Tamam Wajibul Ada Sood batil Kar diye gai.
              Garaz ki Hajj se Faragat ke bad aap Madina ke Irade se 14 Zilhajj ko rawana hue. 1,24,000 Ashab apke Hamrah the. Huzfa ke Qareeb maqame Gadeer me 18 Zilhajj 10 Hijri ko pahuche hi the ki Ayat e Balligh ka Nuzool hua. Apne Palane Shutur (Oont ka Kajawa) ka Mimbar banaya gaya aur Bilal (r.a) ko hukm diya ki "HAYYA ALAA KHAIRIL AMAL" keh kar Awaz den majma simat kar Nuqate Etedal par aa gaya. Rasool e Khuda (a.s) ne ek Faseeh wa Ballig Khutba farmaya jisme Hamd wa Sena ke bad apni fazilat ka Iqrar liya aur farmaya ki Mai tum logo ke Darmiyan do Qeemti chize chhode jata hu. Ek Quran aur Dusre Ahle Bait iske bad Ali (a.s) ko apne nazdeek bulakar dono hatho se itna baland kiya ki Safedi-e-Zere bagal zahir ho gai fir Farmaya "MAN'QUNTO MAULAHO FA'HAZA ALIYUN MAULA, Jiska mai Maula hu uska ye Ali (a.s) Maula hain". Khudaya Ali (a.s) jidhar mude Haq ko usi taraf mod dena. Fir Ali (a.s) ke Sir par Siyah Amama bandha, logo ne Mubarak'badiyan dena shuru ki. Sab apki Janashini se khush hue. Jibrail (a.s) ne bhi Bazbane Quran Iqmale Deen aur Itmame Nemat ka Muzda sunaya. 
        Ek Shakhs Haris bin Noman fahri ne Hazrat ke Amale Gadeer e Khum par Aiteraz kiya usi waqt Asman se Ek patthar gira aur woh halak ho gaya.

Comments