HAZRAT MOHAMMAD KI WILADAT KE WAQT HAIRAT ANGEZ WAQEYAT KA ZAHOOR

Apki wiladat se Mutallik bahot se aese Umoor runuma hue jo hairat anhez hain. Maslan apki waleda majeda ko Bare Hamal mehsoos nahi hua aur wah tauleed ke waqt kasaafaton se Pak thin. Aap Makhtoon aur Naaf Bureeda the. Apke Zahoor farmate hi apke jism se aesa noor saate hua jisse sari duniya raushan ho gai apne paida hote hi dono haton ko zameen par tek kar Sajda e Khaliq ada kiya. Fir asman ki taraf sar karke takbeer kahi aur "LA ILAHA ILLAL'LAHO ANA RASOOL'LALLAHE" zaban par jari kiya ba riwayat ibne wazeh Al Mutwaffi 292 H. Shaitan ko rajam kiya gaya aur uska asman par jana band ho gaya Sitarey Musalsal Tutne lage tamam duniya me aesa zalzala aya ki tamam duniya ki kaleese aur deegar Gairullah ki ibadat karne ke Muqamat Munhadim ho gai jadu aur kahanat ke mahir apni aqle kho baithe aur unke muwaqqil mahboos ho gai aese sitarey asman par nikal aai jinke kabhi kisi ne nahi dekha tha. Saawa ki wah jheel jiski parastis ki jati thi jo kashan me hai wah khushk ho gai. Wadi us Samawa jo sham mue hai aur 1,000 saal se khusk padi thi usme pani jari ho gaya dajla me is qadar tugyani hui ki uska pani tamam ilako me fail gaya kisra ke mahel me pani bhar gaya aur aesa zalzala aya ki aewane kisra ke 14 kangoore zameen par gir pade aur taake kisra Shigaafta ho gaya aur faras ki aag jo 1,000 saal se raushan thi fauran bujh gai.

Comments