HUR BIN YAZEEDE RIYAHI AUR IMAM HUSAIN (a.s)

Subah ka Waqt guzra dopaher ayi, Lashkare Husaini Badya Paimai kar raha tha ki Nagah ek Sahabiye Husain (a.s) ne taqbeer kahi. Logo ne wajah puchi, usne jawab diya ki mujhe Kufe ki taraf Khurme aur kele ke darakht jaise nazar aa rahe hain. Yah sun kar log ye khayal karte hue ki is Jungle me darakht kaha, us taraf gaur se dekhne lage. Thodi der me Ghodo ki kanautiya nazar ayi. Imam ne Farmaya ki dushman aa rahe hain..lehaza Manzile Jukhshab ya Joohsam ki taraf mud chalo. Lashkare Husaini ne rukh badla aur Lashkar e Hur ne tezi ikhteyar ki bil Akhir Samne aa pahucha.
          Muwarrekhin ka bayan hai chunki Lashkar e Hur Pyas se bechain tha, isliye Saqiye Qausar ke Farzand ne Apne bahaduro ko hukm diya ki Hur ke Sawaro aur Sawari ke janwaro ko achchi tarah serab kar do. Achchi serabi kar di gai uske bad Zohr ki Azan hui, Hur ne Imam Husain (a.s) ki qayadat me Namaz ada ki aur bataya ki hame Apki giraftari ke liye bheja gaya hai, aur hamare liye yah hukm Hai ki ham apko Ibn Zyad ke darbar me pesh hazir karen. Mere jite Ji yah Na'mumkin hai ki Mai Giraftar hokar khamoshi se Kufe me qatl kar diya jau. Fir usne tanhai me Mashvera diya ki Raat ke Waqt kisi taraf nikal jai. Apne Uski Rai ko pasand kiya aur ek Raste par Aap chal pade. 
              Jab Subah hui to fir Hur ko picha karte dekha aur Pucha ki Ab kya bat hai. Usne kaha Maula kisi Jasoos ne Ibn Zyad se mukhbiri kar di hai. Ab uska hukm aa gaya hai ki Apko jahan pani aur Saya na ho waha rok Lu. Guftagu ke sath raftar bhi jari thi ki Nagah Imam Husain (a.s) ke Ghode ne Qadam Rok diye, Aap ne logo se Pucha is Zameen ko kya kehte hai. Kaha gaya "KARBALA" Aap ne Apne sathiyo ko hukm diya ki yahi ruko aur khaime laga do. Kyunki Qazae Ilahi yahi hamare gale lagegi.

Comments