IMAM HASAN ASKARI (a.s) KI SHAHADAT

Imam Hasan Askari (a.s) qaido band ki zindagi guzarne ke dauran me ek din apne Khadim Abul Adyan se Irshad farmate hain, ki tum jab apne Safare Madaen se 15 din ke bad wapis aoge to mere ghar se Shewano Buqa ki awaze ati hongi. 
      Algaraz Imam Hasan Askari (a.s) ba'tareekh 1 Rabi Ul Awwal 260 Hijri me Motamid Abbasi ne Zaher dilwaya aur aap 8 Rabi Ul Awwal 260 Hijri ko Jume ke din Ba'waqte Namaze Subh Khilqate Hayate Zaheri utar kar ba'tarfe Mulke jawedani Rehlat farma gai. "INNA LILLAHE WA INNA ELAYHE RAJE'OON" Ulema ka bayan hai ki wafat ke Qabl apne Imam Mehdi (a.s) ko tabarrukat supurd farma diye the. ( Shahadat ke waqt apka Sin e Mubarak 28 Baras tha ).

IMAM HASAN ASKARI (a.s) KI SHAHADAT KE BAD :-
Waqya e Kahet, Darindo ki Sajda Rezi aur apki mazlumiyat ki wajah se har ek ke Dil pe apki Waq'at, apki Mohabbat Ja Guzi ho chuki thi. Yahi wajah hai ki apki Rehlat ki khabar ka Shohrat pana tha ki har ghar se rone ki awaze ane lagin. Har Dil me izterab ki lehre daudne lagin. Shoro Shewan se Samra ki galiyan Qayamat ka manzar pesh karne lagin.

ALLAMA MAJLISI LIKHTE HAIN :- Imam (a.s) ke Irshad ke Mutabiq jab 15 din bad Abul Adyan dakhile Samra hue to ap Shaheed ho chuke the aur Matam ki Awaz buland thi.
IMAM SHIBLANJI LIKHTE HAIN :- Apke Inteqal ke Khabar ke Mash'hoor hote hi Tamam Samra me halchal mach gai aur har taraf rone pitne ka Shor baland ho gaya. Bazaro me Hartaal ho gai, dukane band ho gain. Tamam Bani Hashim aur Hakimane Qasas, Arkane Adalat, Ayane Hukumat, Munshi, Qazi sab apke janaze me Shirkat ke liye daud pade. Sarman Rai is din Qayamat ka Namoona tha.
         Garaz ki Nihayat Tujook wa Ehtesham aur Zaheri Shan o Shaukat ke sath Apka Janaza uthaya gaya aur us jagah le jaya gaya jaha Namaz e Janaza Padhai jati thi. Itne me Motamid ke hukm se Isa ibn Mutawaqqil (jo Umuman Namaze Mayyat padhaya karta tha) Age badha aur Imam (a.s) ke chehre se Qafan hata kar Bani Hashim, Alvi wa Abbasi aur Sab Amiro, Munshiyo, Qaziyo ki kul ashrafo Ayan ko dikhate hue kaha ki "MATA HATAF ANFAA ALAA FARASHAA" Dekho yeh apni maut se mare hain, Yani inhe kisi ne kuch nahi khilaya hai.
        Iske bad Jafare Tawwab Namaz padhane ke liye Age badhe, abhi aap Takbiratul Haram na kehne pai the ki MOHAMMAD IBN HASAN AL QAYEM AL MEHDI baramad hokar Samne a gai aur apne Chacha ko hata kar Namaze Janaz padhai. Iske bad apko Imam Ali Naqi (a.s) ke Rauze me dafn kar diya.
ALLAMA MAJALISI LIKHTE HAIN :- Imam Hasan Askari (a.s) ki tadfeen ke bad Imam Mehdi (a.s) ke tajas'sus me apke ghar ki talashi li gai aur Apki Aurto ko giraftar kiya gaya. Maqsad yeh tha ki Imam Mehdi (a.s) ko giraftar karke Qatl kar diya jai. Taki Khandane Risalat ka khatma ho jai aur Qayamat ke qareeb Adl o Insaf ki Basti na basai ja sake aur Zalimo ke Zulm ka badla na liya ja sake, lekin Khuda Wande Alam ne apne Wadae "WALLAH MATAM NOORA" Ke Mutabiq inhe is Zalim Motamid ke dast Ras se mehfuz kar diya. Ab InshaAllah jab hukm e Khuda hoga tab Zahoor Farmainge.

Comments