IMAM HUSAIN (a.s) KI MAKKE SE RAWANGI KI WAJAH

Imam Husain (a.s) Madeena e Munawwara se Isliye Azime Makka hue ki Apki yaha Jan bach jaigi lekin apki jan lene par aesa Saffaq Dushman  tula hua tha ki Makka e Moazzama aur Qaba e Mohtaram me bhi apko mehfuz na rehne diya aur woh waqt aa gaya ki Imam Husain (a.s) Maqame ko Mehle khauf Samajh kar Makka e Moazzama ko chhodne par majboor ho gai aur Majboori is hadd tak pahoch gai ki aap Hajj tak na kar sake. Yah Masllemat se hai ki Shayateen bani umayya ki 30 Khukhar Hajj ke Libas me Imam Husain (a.s) ke hamrah ho gai aur Wo Imam Husain (a.s) ko tawaf e Qaba ke Qatl kar dene ki Sajish me the. Imam Husain (a.s) ko jaise hi is sajish ka pata chala apne fauran Hajj ko Umre me tabdeel kar diya aue 8 Zilhajj 60 Hijri Janabe Muslim (a.s) ke khat pe bharosa kar ke Azime Kufa ho gai. Abhi aap rawana na ho pai the ki Azeez wa Aqreba ke kalame Hamdardi ke sath kufe ka safar na karne ki darkhwasht ki.
               Apne Farmaya ki agar mai Chunti (Ant) bil me bhi Chhip gaya to qatl kiya jaunga aur suno Mere Nana me Farmaya hai ki hurmate Makka ek Dumbe ke qatl se barbad hogi. Mai darta hu ki wo dunmba Mai na Qarar pau. Meri khwaish hai ki Mai Makka se bahar chahe ek hi balisht par Kyu na qatl kiya jau. Apke Makka e Moazzema se rawana hone ki khabar waliye Makka Umar Bin Sa'ad ko hui to usne puri kasrat se Imam Husain (a.s) ko wapas lane ki koshish ki isi silsile me usne Yahiya bin Saeed ibn Al Aas ko ek giroh ke sath apko rokne ke liye bheja. In logo ne Apko roka aur kaha ki Aap yaha se kahan nikle ja rahe hain wapas chaliye Apne Farmaya aesa hargiz nahi hoga. Yah rokna mamuli na tha jisme ladai jhagde ki Naubat a gai. Maqsad yah hai ki Yazeed nahi chahta tha ki Imam Husain (a.s) iske Hudude iqtedar se nikal jain aur Yazeed ke Mansha ko pura na kar sake.

Comments