IMAM HUSAIN (a.s) KI MAKKE SE RAWANGI

Al garaz Imam Husain (a.s) apne jumla Aizza aur Aqareba wa Ansare jan'nisar ko hamrah lekar Makke se rawana ho gai. Ap jis waqt Manzile Safa par pahuche to Farazdaq Shayar se Mulaqat hui. Wah Kufe se aa raha tha. Israr par usne bataya ki chahe logo ke dil apki taraf ho lekin unki Talwaren apke Khilaf hain. Apne apni rawangi ki wajah batai aur waha se age badhe. Fir Manzile Hajiz ke ek chashme par utre wahan Abdulla ibm Mutee se Mulaqat hui unhone bhi kufiyo ki bewafai ka zikr kiya, iske bad Aap Manzile Batan Al Rehma pahuche Zatoon Ark me thehre waha ek Shakhs Basheer ibn Galib se Mulaqat hui, usne bhi kufiyo ki gaddari ka tazkera kiya. Fir Aap waha se age badhe. 
             Ek maqam par ek khaima nasb dekha. Pucha is jagah kon thehra hai. Malum hua ki Zahair ibn Qain. Apne unhe bulwa bheja. Jab wah aye to apne apni himayat ka zikr kiya. Unhone Qubool kar liya aur Imam Husain (a.s) ke sath ho gai. Fir Aap waha se rawana ho kar Manzile Zabala pahuche wahan apko Hazrat Muslim Bin Aqeel, Hani, Mohammad bin Kaseer aur Abdulla bin Yaqtar jaise dilero ki Shahadat ki khabar mili apne "INNA LILLAHE WA INNA ELAYHE RAJE'OON" farmaya. Uske bad Baqaule Allama Arbali apne Ba waqte Shab ek khutba diya jisme halat ki wazahat ke bad Irshad farmaya ki mera Qatl yakini hai. Mai tum logo ki gardano se tauqe bayyat utar leta hu jidhar Jana hai jao. Duniya dar to wapas ho gai, lekin sab Deen dar sath hi rahe.
             Fir waha se rawana ho Kar Manzile Kasar bani Maqatil par utre, waha par Abdullah ibn Hajar Zafei se Mulaqat hui. Apke Israr ke bawajood wo Apke sath na hua. Fir Aap Manzile Sa'albiya pahuche wahan Janabe Zainab ki Agosh me Sar rakh kar so gai. Khwab me Rasool e Khuda (a.s) ko dekha ki Wah bula rahe hain. Aap ro pade, Umme Kulsoom ne Rone ki wajah puchi, Apne Khwab ka hawala diya aur Khandan ki tabahi ka Asar Zahir kiya. Ali Akbar (a.s) ne Arz kiya Baba ham Haq par hain hame Maut se koi darr nahi. Uske bad apne Manzile Qatqataniya par khutba diya aur wahan se rawana ho Kar Qabeela e Bani Sukoon me thehre. Apki yahan Sukoonat ki ittela Ibn zyad ko di gai. Lashkar ke sath Hur Bin Yazeed Riyahi ko Imam Husain (a.s) ko giraftari ke liye Rowana kar diya. 
              Imam Husain (a.s) apni qayam gah se nikal kar kufe ki taraf ba'dastur rawana ho gai. Raste me bani Akarba ka ek Shakhs mila, usne kaha Qadsiya se Gareeb tak sari zameen Lashkar se bhari padi hai. Apne use Dua e Khair di aur khud age badh Kar Manzile Sharaf par qayam kiya. Wahan apne 1 MOHARRAM 61 HIJRI ka Chand dekha aur Aap raat guzar kar bahut sawere rawana ho gai.

Comments