IMAM ZAIN AL ABEDEEN (a.s) BACHPAN ME HAJJ E BAITULLAH

IMAM ZAIN AL ABEDEEN (a.s) BACHPAN ME HAJJ E BAITULLAH :-

Allama Majlisi tehreer farmate hain, ki Ibrahim bin Adham ka bayan hai ki min ek Martaba Hajj ke liye jata hua Kazaej Hajat ki wajah ki khatir Qafile se pichhe reh gaya. Abhi thodi hi Der guzri thi ki main ek Nau Umr ke ladke ko is jungle me Safare Pyada dekha. Aesi halat me ki wah paidal chal raha tha aur uske sath koi Saman na tha aur na koi sathi tha. Mai hairan ho gaya aur Fauran uski khidmat me Hazir hokar Arz Pardaz hua. "Sahab Zade" is Jungle me tum bilkul tanha, yah mamla kya hai Zara mujhe batao. Tumhara Zade Raah kya hai aur tunhari Sawari kaha hai aur tum kaha ja rahe ho ? Us Nau Khez ne jawab diya.
            "ZAADI TAQWA WA RAAHLATI RAJAALI WA QASDI MAULAYA"
       Mera zaade rah taqwa wah parhezgari hai meri sawari mere Dono pair hain aur mera Maqsood mera Palne wala hai aur mai Hajj ke liye ja raha hu. Maine kaha ap to bilkul kamsin hain, Hajj ap par Wajib nahi hai. Us Naukhez ne jawab diya. Beshak tumhara kehna bilkul durust hai, lekin aye Shaikh mai dekha karta hu ki Mujhse chhote chhote bachche bhi mar jate hain. Isliye Hajj ko Zaruri samjhta hu ki kahi aesa na ho ki Is Farize ki Adaegi se pehle Mar jaun. Maine puchha aye Sahab Zade apne khane pine ka kya intezam kiya hai ? Dekh raha hu ki apke pas khane ka koi intezam nahi hai. Usne jawab diya. Aye Shaikh jab tum kisi ke yaha mehman jate ho to Khana apne Hamrah le jate ho ? Maine kaha nahi. Fir usne Farmaya suno, mai Mai to Khuda ka mehman ho kar ja raha hu. Khane ka intezam uske zimme hai. Maine kaha itne lambe Safar ko Paidal kaise Pura karoge ? Usne jawab diya, ki mera kam koshish karna hai Aur Khuda ka kam Manzile Maqsood tak pahuchana hai.
             Ham Abhi Bahmi Guftagu me hi mashroof the ki Nagah ek Khoobsurat jawan Safaid Libas pehne hue Aa pahucha aur usne is Naukhez ko Gale se laga liya. Yah dekh kar Maine us jawan se daryaft kiya, yah Nau Umr Farzand kon hain ? Us Naujawan ne kaha ye Hazrat Imam Zain Al Abedeen (a.s) bin Husain bin Ali Ibn Abu Talib (a.s) hain. Yah Sunkar mai us jawan ke pas se Imam Ki Khidmat me Hazir hua aur Mazerat khwahi ke bad unse puchha ki yah Khoobsurat jawan Jinhone apko Gale se lagaya yah kon hain ? Unhone Farmaya ye Hazrate Khizr Nabi (a.s) hain. Unka Farz hai ki Rozana hamari Ziyarat ke liye aya karen. Uske bad Maine fir Sawal kiya aur kaha ki akhir aap is Taweel aur Azeem Safar ko bila Zaad aur Rahela (Sawari) kaise Pura Karenge? To apne Farmaya mai Zaad aur Rahela sab kuch rakhta hu, aur woh 4 Chizen hain.
1.) Duniya apni Maujoodat Samet Khuda ki Mamleqat hai.
2.) Sari Makhlooq Allah ke Bande hain.
3.) Asbab aur Arzak Khuda ke Hath me hai.
4.) Kazae khuda Har Zameen me Nafiz hai.
Yah sun kar maine kaha khuda ki Qasam aap hi Zaad wa Rahela sahi taur par Muqaddas hastiyon ka Samane Safar hai.
            Ulema ka bayan hai ki apne Sari Umr me 25 Hajj Piyada (Paidal) kiye hain. Apne Sawari par jab bhi Safar kiya apne janwar ko ek koda bhi nahi Mara.

Comments