HAZRAT IMAM MEHDI (a.s ) KE NAVAB E ARWA

1.) Sabse pehle jinhe naebe imam khas hone ki sa'adat nassb hui unka name nami wa isme girami HAZRAT USMAN BIN SAEEDAMRI tha. Aap qabilae bani asad se the apki quniyat ABU UMAR thi aap samrrah ke karib masjid me dafan kiye gai. Apki wafat ke badbahukme IMAM apke farzand ..
2.) HAZRAT MOHAMMAD BIN UMAR SAEED is azeem manzilat per faez hue. Apki quniyat ABU JAFAR thi. apne apni wafat se do mah qabl apni qabr khudwa di thi. Apka kehna tha ki main yah isliye kar raha hu ki mujhe IMAM ne bata diya hai aur apni tareekh e wafat se waqif hu. apki wafat jamadi ul awwal 305 H. me waqe hui aur maa ke qaeeb bamakam darwaza kufa sire raah dafan hue.
3.) Fir apki bad bawasta HAZRAT IMAM ke hukm se HAZRAT HUSAIN BIN RAOH is azeem mansab pae faez hue. Jafar bin Mohammad bin Usman saeed ka kehna hai, ki mere walid HAZRAT MOHAMMAD BIN USMAN ne mere samne HAZRAT HUSAIN BIN RAOH ko apne bad is mansab ki zimmedari ke mutaallik IMAM ka paigham pahuchaya tha HAZRAT HUSAIN BIN RAOH ki quniyat ABU QASIM thi aap muhalle naubakht ke rehne wale the aap khufiya taur par jumla mumalike islamiya ka daura kiya karte the aap dono firko ke nazdeek motamid , sukqa , saleh aur ameen karar diye gai hain. Apki wafat shaban 326 H. me hui, aur vaap mahallenaubakht kufe me dafn hue hain.
4)Apki wafat ke bad bahukme IMAM HAZRAT ALI BIN MOHAMMAD ALI SAMRI is ohdae jaleela par faez hue apki quniyat ABUL HASAN thi. aap apne faraez anjam de rahe the , jab waqt qareeb aya to apse kaha gaya ki aap apne bad ka kya intezam karenge. Apne farmaya ki ab ainda yah silsila qaem na rahega. (majalesul momineen safa 89 wa zazeera e khizra sfa 6 wa anwarul husainiya safa 55).

Comments